Dil Ka Haal Sune Dilwala

Film: Shree 420
Jahr: 1955
Regie: Raj Kapoor
Schauspieler: Raj Kapoor, Nargis
Interpret: Manna Dey
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Shailendra, Hasrat Jaipuri

Dil ka haal sune dil waala
Seedhi si baat na mirch masaala
Kehke rahega kehne waala
Dil ka haal sune dil waala
Chhote se ghar mein gareeb ka beta
Main bhi hu maan ke naseeb ka beta – 2 x
Ranj-o-gham bachpan ke saathi
Aandhiyo mein jali jeewan baati
Bhukh ne hain bade pyaar se paala
Dil ka haal sune dil waala

(Haay karu kya surat aisi,
Gaanthhke poore chor ke jaisi) – 2 x
Chalta phirta jaanke ek din,
Bina dekhe pehchaan ke ek din
Baandhke le gaya pulis waala
Dil ka haal sune dil waala

Budhhe daaroga ne chashme se dekha – 2 x
Aage se dekha peechhe se dekha,
Upar se dekha neeche se dekha
Bola ye kya kar baithhe ghotaala,
Haay ye kya kar baithhe ghotaala
Ye to hai thaanedaar ka saala
Dil ka haal sune dil waala

Gham se abhi azaad nahi main
Khush magar aabaad nahi main – 2 x
Manzil mere paas khadi hai,
Paau mein lekin bedi padi hai
Taanga deta hai daulat waala,
Dil ka haal sune dil waala

Sun lo magar ye kisi se na kehna
Tinke ka leke sahaara na behna – 2 x
Bin mausammal haar na gaana,
Aadhi raat ko machchil laana
Varna pakad lega pulis waala
Dil ka haal sune dil waala

Ichak Daana Beechak Daana

Film: Shree 420
Jahr: 1955
Regie: Raj Kapoor
Schauspieler: Raj Kapoor, Nargis
Interpret: Lata Mangeshkar, Mukesh
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Shailendra, Hasrat Jaipuri

Lata: Ichak dana beechak dana daane upar dana, ichak dana
Kids: (repeat)
Lata: Chhajje upar ladki naache laka hai deewana, ichak dana
Kids: (repeat)
Lata: Bolo kya?
Kids: Pranam(?) Ichak dana beechak dana daane upar dana ichak dana

Lata: Chhoti si chokri laalbayi naam hai
Kids: (repeat)
Pehne woh ghaghra ek paisa daam hai
Kids: (repeat)
Lata: O, o o o o a a a a
Munh mein sabke aag lagaaye aata hai rulaana, ichak dana
Kids: (repeat)
Lata: Bolo kya?
Kids: Michree!!, Ichak dana beechak dana daane upar dana, ichak dana

Lata: Hari thi man bhari thi laakh moti jadi thi
Kids: (repeat)
Lata: Raja ji ke baag mein dushaala odhe khadi thi
Kids: (repeat)
Lata: O, o o o o a a a a
Kachche-pakke baal hain uske mukhda hai suhana, ichak dana
Kids: (repeat)
Lata: Bolo kya? Bolo bolo
Raaj: Buddhee
Kids: Bhutta!!, Ichak dana beechak dana daane upar dana, ichak dana

Lata: Ek janwar aisa jiske doom par paisa
Kids: (repeat)
Lata: Sar pe hai taaj bhi baadshah ke jaisa
Kids: (repeat)
Lata: O, o o o o a a a a
Baadal dekhe chham-chham naache albela mastaana, ichak dana
Kids: (repeat)
Lata: Bolo kya? Bolo na
Kids: Mor.., Ichak dana beechak dana daane upar dana, ichak dana
Lata: Chhajje upar ladki naache laka hai deewana, ichak dana
Kids: (repeat)

Mukesh: Ichak dana beechak dana daane upar dana, ichak dana -2

Chaale woh chalkar dil mein samaaya
Aap hi gaya woh kiya hai safaaya
Tum bhi dekho bachkar rehna chakkar mein na aana, ichak dana -2
Raaj, Kids: Bolo kya?
Lata: Ghum?
Raaj: Huh!, hum..

Mud Mud Ke Na Dekh

Film: Shree 420
Jahr: 1955
Regie: Raj Kapoor
Schauspieler: Raj Kapoor, Nargis
Interpret: Asha Bhosle
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Shailendra, Hasrat Jaipuri

Mud Mud Ke Na Dekh Mud Mud Ke – 2 X
Mud Mud Ke Na Dekh Mud Mud Ke – 2 X
Zindagani Ke Safar Mein Tu Akela Hi Nahi Hain
Ham Bhi Tere Hamsafar Hain
Zindagani Ke Safar Mein Tu Akela Hi Nahi Hain
Ham Bhi Tere Hamsafar Hain
Mud Mud Ke Na Dekh Mud Mud Ke – 2 X
Mud Mud Ke Na Dekh Mud Mud Ke – 2 X

Aaye Gaye Manzilon Ke Nishaan
Lehraa Ke Jhooman Jhuka Aasman
Lejin Rukega Na Yeh Karwaan
Aaye Gaye Manzilon Ke Nishaan
Lehraa Ke Jhooman Jhuka Aasman
Lejin Rukega Na Yeh Karwaan
Mud Mud Ke Na Dekh Mud Mud Ke – 2 X
Mud Mud Ke Na Dekh Mud Mud Ke – 2 X

Mud Mud Ke Na Dekh Mud Mud Ke – 2
Mud Mud Ke Na Dekh Mud Mud Ke – 2
Zindagani Ke Safar Mein Tu Akela Hi Nahi Hain
Ham Bhi Tere Hamsafar Hain
Zindagani Ke Safar Mein Tu Akela Hi Nahi Hain
Ham Bhi Tere Hamsafar Hain
Mud Mud Ke Na Dekh Mud Mud Ke – 2 X
Mud Mud Ke Na Dekh Mud Mud Ke – 2 X

Nainon Se Naina Jo Mila Ke Dekhe
Mausam Ke Saath Muskura Ke Dekhe
Duniya Usi Ki Hai Jo Aage Dekhe
Nainon Se Naina Jo Mila Ke Dekhe
Mausam Ke Saath Muskura Ke Dekhe
Duniya Usi Ki Hai Jo Aage Dekhe
Mud Mud Ke Na Dekh Mud Mud Ke – 2 X
Mud Mud Ke Na Dekh Mud Mud Ke – 2 X

Duniya Ke Saath Jo Badalta Jaaye
Jo Iske Saanche Mein Hi Dhalta Jaaye
Duniya Usi Ki Hain Jo Chalta Jaaye
Duniya Ke Saath Jo Badalta Jaaye
Jo Iske Saanche Mein Hi Dhalta Jaaye
Duniya Usi Ki Hain Jo Chalta Jaaye
Mud Mud Ke Na Dekh Mud Mud Ke – 2 X
Mud Mud Ke Na Dekh Mud Mud Ke – 2 X
Zindagani Ke Safar Mein Tu Akela Hi Nahi Hain
Ham Bhi Tere Hamsafar Hain
Zindagani Ke Safar Mein Tu Akela Hi Nahi Hain
Ham Bhi Tere Hamsafar Hain
Mud Mud Ke Na Dekh Mud Mud Ke – 8 X