Neeli Neeli Ghata O Bheegi Bheegi

Film: Hum Hindustani
Jahr: 1960
Regie: Ram Mukherji
Interpreten: Mukesh, Asha Bhosle
Komponist: Usha Khanna
Lyrics: K.M. Manohar

Asha Bhosle: Nili-nili ghata,
O bhigi-bhigi hava
Hai nasha hi nasha
Kahin kho jaaen aa

Mukesh: Nili-nili ghata

Asha Bhosle: Mausam deewana,
Kaheta zamaana
Saawan ki mauj men,
Do dil akele hain

Mukesh: Teri nigaahen,
Meri nigaahen
Dono sharaabi hai
Masti ke mele hain
Aa jhoomen zara
Nili-nili ghata

Mukesh: Palakon se chhal ke
Gaalon pe dhalake
Saavan ki bundon men
Chanchal ishaare hain

Asha Bhosle: Samajho ishaara
De do sahaara
Tum bhi hamaare ho
Ham bhi tumhaare hain
Aa jhoomen zara
Nili-nili ghata

Asha Bhosle: Laharon ka aanchal
Saahil pe dole
Barakha ki raani bhi
Zulfon ko khole hai

Mukesh: Laharon men kho jaa
Ojhal tu ho ja
Manzil ye apani hai
Dil mera bole hai
Aa jhoomen zara
Nili-nili ghata

Mukesh: Mausam ka jaadu
Aankhen beqaabu
Puchhe tum hi se yeh
Hoga aur aage kya

Asha Bhosle: Jannat yahi hai
Mujh ko yaqeen hai
Mere paas tu jo hai
Dil aur maange kya
Aa jhoomen zara

Both: Nili-nili ghata

Yeh Raaten, Yeh Mausam, Nadee Ka Kinara

Film: ((Dilli Ka Thug)) – Delhi Thug
Jahr: 1958
Regie: S.D. Narang
Interpreten: Asha Bhosle, Kishore Kumar
Komponist: Ravi
Lyrics: Shailendra

[youtube]AsoArEfUMN0[/youtube]
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa
Kaha do dilon ne, ke milkar kabhi hum na honge judaa
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

Yeh kya baat hai, aaj ki chandni mein
Yeh kya baat hai, aaj ki chandni mein
Ke hum kho gaye, pyaar ki raagani mein
Yeh bahon mein baahen, yeh behki nigahen
Lo aane laga zindagi ka maza
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

Sitaron ki mehfil ne karke ishara
Sitaron ki mehfil ne karke ishara
Kaha ab to sara jahaan hai tumhara
Mohabbat jawaan ho, khula aasman ho
Kare koi dil arzoo aur kya
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

Kasam hai tumhe, tum agar mujhse roothe
Kasam hai tumhe, tum agar mujhse roothe
Rahe saans jab tak ye bandhan na toote
Tumhe dil diya hai, ye wada kiya hai
Sanam main tumhari rahoongi sada
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa
Kaha do dilon ne, ke milkar kabhi hum na honge judaa
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

Kaise Samjhaun

Film: Suraj
Jahr: 1966
Regie: T. Prakash Rao
Interpret: Mohd. Rafi, Asha Bhosle
Schauspieler: Vyjayanthimala, Rajendra Kumar
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Hasrat Jaipuir, Shailandra

Mohd. Rafi: Aaa Aaa Aaaa Aaaa
Kaise Samjhaau Badi Na Samajh Ho – 2 X
Hum Se Na Jeetogi Tum Rehne Do Yeh Baazi
Kaise Samjhaau

Asha Bhosle: Aaa Aaa
Kaise Samjhaau Bade Na Samajh Ho – 2 X
Aaye Gaye Tum Jaise Senkado Anaari
Kaise Samjhaau

Mohd. Rafi: (Hum Dil Ka Saaz Bajaate Hai
Duniya Ke Hosh Udaate Hai) – 2 X
Hum Saat Suron Ke Saagar Hai
Har Mehfil Mein Lehraate Hai – 2 X
Kaise Samjhaau Badi Na Samajh Ho
Kaise Samjhaau

Asha Bhosle: (Tum Saaz Bajaana Kya Jaano
Tum Rang Jamaana Kya Jaano) – 2 X
Mehfil To Humari Tumse Hai
Tum Hosh Udaana Kya Jaano – 2 X
Kaise Samjhaau Bade Uh Samajh Ho – 2 X
Kaise Samjhaau

(Main Naachu Chaand Sitaaron Par
Sholo Par Aur Sharaaron Par) – 2 X

Mohd. Rafi: Hum Aise Kalaa Ke Deewaane
Chha Jaaye Nashili Bahaaron Par – 2 X
Kaise Samjhaau

Asha Bhosle: Ho
Mohd. Rafi: Badi Na Samajh Ho
Asha Bhosle: Ho
Mohd. Rafi: Kaise Samjhaau
Asha Bhosle: Ho
Mohd. Rafi: Badi Na Samajh Ho
Asha Bhosle: Ho Aaye Gaye Tum Jaise Saikado Anaari, Kaise Samjhaau
Mohd. Rafi: Badi Na Samajh Ho, Kaise Samjhaau