Main Chali Main Chali

Film: Professor (Love story)
Jahr: 1962
Regie: Lekh Tandon
Interpreten: Mohd. Rafi, Lata Mangeshkar
Schauspieler: Shammi Kapoor, Kalpana, Iftekhar, Lalita Pawar, Tun Tun
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Hasrat Jaipuri

Main Chali Main Chali Peechhe Peechhe Jahaan
Ye Na Poochho Kidhar Ye Na Poochho Kahaan

Translation: I Am Off, I Leave, The World Following Me
Don’t Ask Where I Go, Do Not Ask My Destination

Sajde Mein Husn Ke Jhuk Gaya Aasman
Lo Shuru Ho Gayi Pyaar Ki Daastan
Sajde Mein Husn Ke

The Sky Bows Its Head To Honor The Beauty
So Begins The Saga Of Love

Jaaun Jahaan Kahin Aankhon Se Door
Dil Se Na Jaaoge Mere Huzoor
Jaadu Nigaahon Ka Chhaaya Suroor
Aise Mein Behke To Kis Ka Kusoor

Go Where You Will, Hide From My Eyes
You Wont Be Far From My Heart, My Love
Your Eyes Are Magic, I Am In Ecstasy (Drunk)
If I Stumble Now Who Is To Blame

Sajde Mein Husn Ke Jhuk Gaya Aasman
Lo Shuru Ho Gayi Pyaar Ki Daastan

Main Chali Main Chali Peechhe Peechhe Jahaan
Ye Na Poochho Kidhar Ye Na Poochho Kahaan
Main Chali Main Chali

Behke Kadam Chaahe Behke Nazar
Jaayenge Dil Le Ke Jaayein Jidhar

Drunken Walk, Or Drunken Wandering Eyes
They Entice My Heart, Wherever They Go

Pyaar Ki Raahon Mein Pyaara Safar
Hum Kho Bhi Jaayein To Kya Hai Fikar

In These Paths Of Love, Such A Lovely Journey
Were We To Lose Our Way, What Is To Worry

Main Chali Main Chali
Peechhe Peechhe Jahaan
Ye Na Poochho Kidhar
Ye Na Poochho Kahaan

Sajde Mein Husn Ke Jhuk Gaya Aasman
Lo Shuru Ho Gayi Pyaar Ki Daastan
Main Chali Main Chali

Paise Ki Pehchaan Yahan

Film: Pehchaan
Jahr: 1970
Regie: Sohanlal Kanwar
Interpret: Mohd. Rafi
Schauspieler: Manoj Kumar, Babita Kapoor
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Gopal Das Neeraj

Paise Ki Pehchaan Yahan
Insaan Ki Keemat Koi Nahin
Bach Ke Nikal Jaa Iss Basti Se
Karta Muhabbat Koi Nahin

Bibi Behan Maa Beti Naa Koi
Paise Kaa Sab Rishta Hai
Aankh Kaa Aansoo Khoon Jigar Kaa Mitti Se
Bhi Sasta Hai, Mitti Se Bhi Sasta Hai
Sab Kaa Teri Jeb Se Naata, Teri Jaroorat Koi Nahin
Bach Ke Nikal …

Shokh Gunahon Ki Yeh Mandi
Meetha Zehar Jawaani Hai
Kehte Hain Imaan Jise Kuchh Logon Ki Kahaani Hai
Kuchh Logon Ki Kahaani Hai
Bhookh Hai Majhab Iss Duniyaa Ka
Aur Haqeeqat Koi Nahin
Bach Ke Nikal …

Zindagi Kya Hai Cheej Yahan
Mat Pooch Aankh Bhar Aati Hai
Raat Mein Byaah Karti Woh Kali Bewaa
Subah Ho Jaati Hai, Bewaa Subah Ho Jati Hai
Aurat Ban Kar Iss Kooche Mein, Aurat Rahti Koi Nahin
Bach Ke Nikal …

Neeli Neeli Ghata O Bheegi Bheegi

Film: Hum Hindustani
Jahr: 1960
Regie: Ram Mukherji
Interpreten: Mukesh, Asha Bhosle
Komponist: Usha Khanna
Lyrics: K.M. Manohar

Asha Bhosle: Nili-nili ghata,
O bhigi-bhigi hava
Hai nasha hi nasha
Kahin kho jaaen aa

Mukesh: Nili-nili ghata

Asha Bhosle: Mausam deewana,
Kaheta zamaana
Saawan ki mauj men,
Do dil akele hain

Mukesh: Teri nigaahen,
Meri nigaahen
Dono sharaabi hai
Masti ke mele hain
Aa jhoomen zara
Nili-nili ghata

Mukesh: Palakon se chhal ke
Gaalon pe dhalake
Saavan ki bundon men
Chanchal ishaare hain

Asha Bhosle: Samajho ishaara
De do sahaara
Tum bhi hamaare ho
Ham bhi tumhaare hain
Aa jhoomen zara
Nili-nili ghata

Asha Bhosle: Laharon ka aanchal
Saahil pe dole
Barakha ki raani bhi
Zulfon ko khole hai

Mukesh: Laharon men kho jaa
Ojhal tu ho ja
Manzil ye apani hai
Dil mera bole hai
Aa jhoomen zara
Nili-nili ghata

Mukesh: Mausam ka jaadu
Aankhen beqaabu
Puchhe tum hi se yeh
Hoga aur aage kya

Asha Bhosle: Jannat yahi hai
Mujh ko yaqeen hai
Mere paas tu jo hai
Dil aur maange kya
Aa jhoomen zara

Both: Nili-nili ghata