Chhodo Kal Ki Baatein

Film: Hum Hindustani
Jahr: 1960
Regie: Ram Mukherji
Interpret: Mukesh
Komponist: Usha Khanna
Lyrics: K.M. Manohar

Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani
Naye daur mein likhenge milkar nayi kahaani

Hum hindustani, hum hindustani – 2 x
Aaj puraani zanjeeron ko tod chuke hain
Kya dekhe us manzil ko jo chhod chuke hain
Chand ke dar pe jaa pahuncha hai aaj zamaana
Naye jagat se hum bhi naata jod chuke hain
Naya khoon hai, nayi umangein, ab hai nayi jawaani

Hum hindustani – 2 x
Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani
Naye daur mein likhenge milkar nayi kahaani

Hum hindustani, hum hindustani – 2 x
Aao mehnat ko apna imaan banaaye
Apne haathon ko apna bhagwaan banaaye
Ram ki is dharti ko gautam ki bhoomi ko
Sapnon se bhi pyaara hindustan banaaye
Naya khoon hai, nayi umangein, ab hai nayi jawaani

Hum hindustani – 2 x
Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani
Naye daur mein likhenge milkar nayi kahaani
Hum hindustani, hum hindustani – 2

Har zarra hai moti, aankh uthaakar dekho
Maati mein sona hai, haath badhaakar dekho
Sone ki yeh ganga hai, chandi ki yamuna
Chaaho to patthar pe dhaan ugaakar dekho