Tere Mehfil Mein

Film: Mughal-E-Azam
Jahr: 1960
Regie: K. Asif
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Naushad
Lyrics: Shakeel Badayuni

Teri Mehfil Mein Kismat Aazmakar Hum Bhi Dekhenge
Haan Ji Haan Hum Bhi Dekhenge
Ik Ghadi Bhar To Tere Kareeb Aakar Hum Bhi Dekhenge
Tere Kadmon Mein Sir Apna Jhukakar Hum Bhi Dekhenge
Haan Ji Haan Hum Bhi Dekhenge

Mohabbat Karne Walon Ka Bas Yahi Hai Afsana
Tadapna Chupke Chupke Aahen Bharna,
Ghut Ghut Ke Mar Jana
Kisi Din Yeh Tamasha Muskurakar Hum Bhi Dekhenge
Hann Ji Haan Hum Bhi Dekhenge

Mohabbat Humne Maana Zindagi Barbaat Karti Hain
Yeh Kya Kam Hai Ke Mar Jaane Pe Duniya Yaad Karti Hain
Kisi Ke Ishq Mein Duniya Luta Kar Hum Bhi Dekhenge
Haan Ji Haan Hum Bhi Dekhenge

Bekas Pe Karam

Film: Mughal-E-Azam
Jahr: 1960
Regie: K. Asif
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Naushad
Lyrics: Shakeel Badayuni

Ai Mere Mushkil akushaa, Fariyaad Hai, Fariyaad Hai
Aapake Hote Hue Duniya Meri Barabaad Hai

Bekas Pe Karam Keejiye, Sarkaar-e-madeena
Bekas Pe Karam Keejiye
Gardish Mein Hai Taqadeer Bhanvar Mein Hai Safeena
Bekas Pe Karam Keejiye, Sarkaar-e-madeena
Bekas Pe Karam Keejiye

Hai Vaqt-e-madad Aai Bigadi Ko Banaane
Gosheeda Nahi Aapase Kuch Dil Ke Fasaane
Zakmon Se Bhara Hai Kisi Majaboor Ka Seena
Bekas Pe Karam Keejiye

Chhaai Hai Museebat Ki Ghata Gesuon Vaale, Gesuon Vaale
Lillaah Meri Doobati Kashti Ko Bachaale
Toofaan Ke Aasaar Hain, Dushvaar Hai Jeena
Bekas Pe Karam Keejiye

Gardish Mein Hai Taqadeer Bhanvar Mein Hai Safeena
Bekas Pe Karam Keejiye, Sarkaar-e-madeena
Bekas Pe Karam Keejiye

Mohe Panghat Pe

Film: Mughal-E-Azam
Jahr: 1960
Regie: K. Asif
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Naushad
Lyrics: Shakeel Badayuni

Mohe Panghat Pe Nandlal Chhed Gayo Re
Mori Najuk Kalaiyaa Marod Gayo Re
Mohe Panghat Pe …

Kankari Mohe Maari Gagariya Phod Daali
Mori Saree Anari Bhigoyi Gayo Re
Mohe Panghat Pe …

Nayno Se Jadoo Kiya Jiyara Moh Liya
Mora Ghoongat Najariya Se Khol Gayo Re
Mohe Panghat Pe …