Humein Tumse Pyaar Kitna

Film: Kudrat
Jahr: 1980
Regie: Chetan Anand
Interpret: Kishore Kumar
Komponist: R.D. Burman
Lyrics: Majrooh Sultanpuri

Interpretin: Parveen Sultana
humein tumse pyaar kitna ye hum nahin jaante
magar ji nahin sakte tumhare bina
humein tumse pyaar …

Translation: I do not know how much I love you …
but I cannot live without you.

suna gam judaai ka uthaate hain log
jaane zindagi kaise bitaate hain log
din bhi yahaan to lage baras ke samaan
humein intazaar kitna ye hum nahin jaante
magar ji nahin sakte tumhare bina
humein tumase pyaar …

I have heard that the sorrow of separation is borne by people.
I wonder how these people go through their life.
Every day seems like a year.
I do not know how much I wait for you …
but I cannot live without you.

tumhein koi aur dekhe to jalta hai dil
badi mushkilon se phir sambhalta hai dil
kya kya jatan karten hain tumhein kya pata
ye dil beqaraar kitna ye hum nahin jaante
magar ji nahin sakte tumhare bina
humein tumse pyaar …

If someone else looks at you, then my heart burns.
With great difficulty, the heart recovers itself.
What do you know how much effort I have put?
I do not know how restless/uneasy this heart is …
but I cannot live without you.

Mera Man Tera Pyaasa (My Mind Is Thirsty For You)

Film: Gambler
Jahr: 1960
Regie: Amarjeet
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: S.D. Burman

Mera Man Tera Pyaasa, Mera Man Tera
Poori Kab Hogi Aasha, Mera Man Tera

Jab Se Maine Dekha Tujhe Mera Dil Nahin Raha, Mera
De De Apna Haath Mere Haathon Mein Kya Jaye, Tera
Ab To Na Todo Aasha, Mera Man Tera…

Zindagi Hai Meri Ek Daanv, Tu Hai Haar Jeet, Meri
Aise Vaise Kaise Bhi Tu Khel Humse Jaisi Marzi, Teri
Kitni Hai Bholi Aasha, Mera Man Tera…

Pata Nahin Kaun Hoon Maein, Kya Hoon Aur Kahan Mujhe, Jaana
Apni Vo Kahaani Jo Anjaani Ho Ke Ban Gayi, Fasaana
Jeevan Kya Hai, Tamaasha, Mera Man Tera…

Dost Dost Na Raha

Film: Sangam
Regie: Raj Kapoor
Schauspieler: Raj Kapoor, Rajendra Kumar
Jahr: 1964
Interpret: Mukesh
Komponist: Shankar-Jaikishen

Dost dost na raha, pyaar pyaar naa raha
Zindagi hamein tera, aitbaar na raha, aitbaar na raha

Amaanatein main pyaar ki, gaya tha jisko saunp kar
Woh mere dost tum hi the, tumhi to the
Jo zindagi ki raah me bane the mere hamsafar
Woh mere dost tum hi the, tumhi to the
Saare bhed khul gaye, raazdaar na raha
Zindagi hamein tera, aitbaar na raha, aitbaar na raha
Dost dost na raha…

Safar ke waqt mein palak pe motiyo ko taulti
Woh tum na thi to kaun tha tumhi to thi
Nashe ki raat dhhal gayi ab khumaar na raha
Zindagi hamein tera, aitbaar na raha, aitbaar na raha
Dost dost na raha…