Yeh Sama Sama Hai Pyar Ka

Film: Jab Jab Phool Khile
Jahr: 1965
Regie: Suraj Prakash
Interpretin: Lata Mangeshkar
Komponist: Kalyanji-Anandji

ye samaa, samaa hain ye pyaar kaa
kisee ke intajaar kaa
dil naa churaa le kahee meraa, mausam bahaar kaa

basane lage aakhon mein kuchh ayese sapane
koee bulaaye jaise, nainon se apane
ye samaa, samaa hain didaar kaa, kisee ke intajaar kaa

mil ke khayaalon mein hee, apane balam se
nind gawaayee apanee, maine kasam se
ye samaa, samaa hain khumaar kaa, kisee ke intajaar kaa

Suhana Safar

Film: Madhumati
Jahr: 1958
Regie: Bimal Roy
Interpret: Mukesh
Komponist: Salil Chowdhury

Suhana safar aur yeh mausam haseen -2
Humein darr hai hum kho na jaaye kahin
Suhana safar..

Yeh kaun hansta hai phoolon mein chhupkar
Bahar bechain hai jiski dhun par -2
Kahin gungun, kahin runjhun
Ki jaise nache zameen
Suhana safar…

Yeh gori nadiyon ka chalna uchhalkar
Ki jaise allhad chale pi se milkar -2
Pyaare pyaare yeh nazare nisar hai har kahin
Suhana safar…

Ho ho ho …
Woh aasman jhuk raha hai zameen par
Yeh milan humne dekha yahin par -2
Meri duniya, mere sapne milenge shaayad yahin
Suhana safar…

Yeh Raat Bheegi Bheegi

Film: Chori Chori
Jahr: 1956
Regie: Anant Thakur
Schauspieler: Raj Kapoor, Nargis
Interpreten: Lata Mangeshkar, Manna Dey
Komponist: Shankar-Jaikishen

Manna Dey: (Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere voh chand pyaara pyaara) – 2 x

Lata Mangeshkar: (Aah, aah)
Kyoon aag si lagaake gumsum hai chandni
Sone bhi nahin deta mausam ka yeh ishaara

Manna Dey: Ithlaati hawa, neelam sa gagan
Kaliyon pe yeh behoshi ki nami
Aise mein bhi kyoon bechain hai dil
Jeevan mein na jaane kya hai kami

Lata Mangeshkar: Kyoon aag si lagaake gumsum hai chandni
Sone bhi nahin deta mausam ka yeh ishaara

Manna Dey: Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere voh chand pyaara pyaara

Lata Mangeshkar: Jo din ke ujaale ne na mila
Dil dhoonde aise sapne ko
Is raat ki jagmag mein doobi
Main dhoond rahi hoon apne ko

Manna Dey: Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere voh chand pyaara pyaara

Lata Mangeshkar: Kyoon aag si lagaake gumsum hai chandni
Sone bhi nahin deta mausam ka yeh ishaara

Manna Dey: Aise mein kahin kya koi nahin
Bhoole se jo humko yaad kare

Lata Mangeshkar: Ek halki si muskaan pe jo
Sapnon ka jahan aabaad kare

Manna Dey: Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere voh chand pyaara pyaara

Lata Mangeshkar: Kyoon aag si lagaake gumsum hai chandni
Sone bhi nahin deta mausam ka yeh ishaara

Lata Mangeshkar & Manna Dey: Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere voh chand pyaara pyaara