Mujhe Kitna Pyaar Hai

Film: Dil Tera Deewana
Jahr: 1962
Regie: B. Ramakrishnajah Panthulu
Schauspieler: Shammi Kapoor
Interpreten: Mohd. Rafi, Lata Mangeshkar
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Shailendra

(mujhe kitna Pyaar hai tumse, apne hee Dil se puchho tum
jisase Dil diya hai woh tum ho, meree jindagee tumharee hai) – 2 x

chahat ne teree mujhko kuchh iss tarah ghera
din ko hai tere charche rato ko khwab tera

tum ho jahan hai wahee par, rehta hai dil bhee mera
bas ek khayal tera kya, sham kya savera

mujhe kitna Pyaar hai tumse, apne hee dil se puchho tum
jisse Dil diya hai woh tum ho, meree jindagee tumharee hai

yeh Duniya kaise badalee kuchh bhee samajh na aaye
kyon kar huye woh apne kal tak the jo paraye

Dil kee lagan ho sacchee phir kyon na Rang laye
mere the tum sada se par abb kareeb aaye

mujhe kitna Pyaar hai tumse, apne hee dil se puchho tum
jisse Dil diya hai woh tum ho, meree jindagee tumharee hai

meree wafa ko abb toh tum aajmana chhodo
Dil ko churake mere Aankhe churana chhodo

mujh ko banane apna bate banana chhodo
mai kab na thee tumharee lekin satana chhodo

(mujhe kitna Pyaar hai tumse, apne hee Dil se puchho tum
jisse Dil diya hai woh tum ho, meree jindagee tumharee hai) – 2 x

Dil Tera Deewana

Film: Dil Tera Deewana
Jahr: 1962
Regie: B. Ramakrishnajah Panthulu
Schauspieler: Shammi Kapoor
Interpreten: Mohd. Rafi, Lata Mangeshkar
Komponist: Shankar-Jaikishen

Lyrics:
Mohd. Rafi: bijali giraake aap khud bijali se darr gaye
hum saadgi pe aap ki leellaah mar gaye haaye haaye haaye

Mohd. Rafi: dil tera deewana hai sanam – 2 x
Lata Mangeshkar: jaante ho tum kuch na kahenge hum – 2 x
(Mohd. Rafi: mohabbat ki kasam haaye
Lata Mangeshkar: mohabbat ki kasam) – 2 x

Mohd. Rafi: dil tera deewana hai sanam – 2 x
Lata Mangeshkar: jaante ho tum kuch na kahenge hum – 2 x
(Mohd. Rafi: mohabbat ki kasam haaye
Lata Mangeshkar: mohabbat ki kasam) – 2 x

Lata Mangeshkar: pyaar ke albele yeh humsafar
chal denge le jaayega dil jidhar
Mohd. Rafi: raah mein kho jaayenge aaj to – 2 x
haaye manzil kahaan hai hume kya khabar
Lata Mangeshkar: kuch chaahat ka asar kuch mausam ka asar
Mohd. Rafi: dil tera deewana hai sanam – 2 x
Lata Mangeshkar: jaante ho tum kuch na kahenge hum ho – 2 x
(Mohd. Rafi: mohabbat ki kasam
Lata Mangeshkar: mohabbat ki kasam) – 2 x

Mohd. Rafi: teri aankhon mein jo suroor hai
saara issi ka to kusoor hai
Lata Mangeshkar: saiya anjaane nazre pyaar ki – 2 x
nadaan yeh dil mera majhboor hai
Mohd. Rafi: jeevan mein ek baar khud ho jaata hai pyaar
Lata Mangeshkar: dil tera deewana hai sanam – 2 x
Mohd. Rafi: jaante ho tum kuch na kahenge hum – 2 x
Lata Mangeshkar: mohabbat ki kasam
Mohd. Rafi: mohabbat ki kasam

Lata Mangeshkar: kya kejee koyi mann bhaa gaya
dil mein hamara woh sama gaya
Mohd. Rafi: hans ke kissi ne dekha ek baar – 2 x
haaye dil ki muraade koi paa gaya
Lata Mangeshkar: saanso mein meethi aag hothon pe meetha raag
Mohd. Rafi: dil tera deewana hai sanam – 2 x
Lata Mangeshkar: jaante ho tum kuch na kahenge hum – 2 x
(Mohd. Rafi: mohabbat ki kasam
Lata Mangeshka: mohabbat ki kasam) – 4 x

Raat Ke Hamsafar

Film: An Evening In Paris
Jahr: 1966
Regie: Shakti Samanta
Schauspieler: Shammi Kapoor, Sharmila
Interpreten: Asha Bhosle, Mohd. Rafi
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Hasrat Jaipuri

Raat Ke Hamsafar, Thak Ke Ghar Ko Chale
Jhoomti Aa Rahi Hai Subah Pyaar Ki
Dekh Kar Saamne, Roop Ki Roshani
Phir Luti Ja Rahi Hai Subah Pyaar Ki

Raat Ne Pyaar Ke Jaam Bhar Kar Diye
Aankhon Aankhon Se Jo Main Ne Tumne Piye
Hosh To Ab Talaq Ja Ke Laute Nahi
Jaane Kya La Rahi Hai Subah Pyaar Ki
Raat Ke Hamasafar …