Chand Si Mehbooba

Film: Himalaya Ki God Mein (In the Lap of the Himalayas)
Jahr: 1965
Regie: Vijay Bhatt
Interpret: Mukesh
Komponist: Kalyanji-Anandji
Lyrics: Indeevar

Chand si mehbooba ho meri, kab aaisa maine socha tha
Haan tum bilkool waisi ho, jaisa maine socha tha

Na kasmey hain na rasmey hain, na shikwe hain na wadey hain

Ek surat bholi bhaali hai, do naina seedhe saade hain
Do naina seedhe saade hain
Aaisa hi roop khayalon mein tha, aaisa maine socha tha
Haan tum bilkool waisi ho, jaisa maine socha tha

Meri khushiyan hi na baate, mere gam bhi sehna chahe

Dekhe na khwab woh mehlon ke, mere dil mein rehna chahe
Mere dil mein rehna chahe
Is duniya mein kaun tha aaisa, jaisa maine socha tha