Babul Ki Duayein Leti Jaa

Film: Neel Kamal
Jahr: 1968
Regie: Ram Maheshwari
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Ravi
Lyrics: Kidar Sharma, Sahir Ludhianvi

Babul ki duayein leti jaa
Jaa, tujhko sukhi sansaar mile – 2 x
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasuraal mein itna pyaar mile
Babul ki duaayein leti jaa
Jaa, tujhko sukhi sansaar mile

Naazon se tujhe paala maine
Kaliyon ki tarah, phoolon ki tarah
Bachpan mein jhulaya hai tujhko
Baahon ne meri jholon ki tarah
Mere baagh ki ae nazok dali
Tujhe harpal nayi bahaar mile
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasural mein itna pyaar mile

Is ghar se bandhe hain bhag tere
Us ghar mein sadaa tera raag rahe
Honton pe hansi ki dhop khile
Mathe pe khushi ka daag rahe
Kabhi jiski jyot na ho pheeki
Tujhe aisa roop singaar mile
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasural mein itna pyaar mile

Beete tere jeevan ki ghadiyan
Aaram ki thandi chhaon mein
Kaanta bhi na chhubne paaye kabhi
Meri laadli tere paon mein
Us baar se bhi dukh door rahe
Jis baar se tera baar mile
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasuraal mein itna pyaar mile
Babul ki duayein leti jaa
Jaa, tujhko sukhi sansar mile
Babul ki duayein leti jaa