Ye Zindagi Usi Ki Hai

Film: Mughal-E-Azam
Jahr: 1960
Regie: K. Asif
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Naushad
Lyrics: Shakeel Badayuni

Yeh zindagi usi ki hai
Jo kisi ka ho gaya
Pyaar hi me kho gaya
Yeh zindagi usi ki hai

Yeh bahaar yeh samaah
Kehraha hai pyaar kar
Kisi ki arzoo mein apne
Dil ko bekarar kar

Yeh zindagi hai bewafa …
Zindagi hai bewafa
Loot pyaar ka mazaa

Yeh zindagi …

Dhadak raha hai dil to kya
Yeh dil ke dhadkanein na gin
Phir kahaan yeh fursatein
Phir kahaan yeh raat din

Aa rahi hai ye samaah …
Aa rahi hai samaah
Mastiyon mein doob ja

Yeh zindagi …

Jo dil yahaan na mil sake
Milenge us jahaan mein
Khilenge hasraton ke phool
Jo ke aasman mein

Yeh zindagi chale gayi …
Yeh zindagi chale gayi
Jo pyaar mein to kya hua

Yeh zindagi …

Sunaayegi ye daastan
Kshama mera hai pyaar ke
Yeh shaam hi mein khilti rahi
Yeh kali anaar ki

Ise mazaak mat kaho …
Ise mazaak mat kaho
Yeh mahal hai pyaar ka

Yeh zindagi …

Yeh zindagi ki shaam aa …
Yeh zindagi ki shaam aa
Tujhe gale lagaun mein
Tujhi mein doob jaun mein …
Jahan ko bhool jaun mein …