Paise Ki Pehchaan Yahan

Film: Pehchaan
Jahr: 1970
Regie: Sohanlal Kanwar
Interpret: Mohd. Rafi
Schauspieler: Manoj Kumar, Babita Kapoor
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Gopal Das Neeraj

Paise Ki Pehchaan Yahan
Insaan Ki Keemat Koi Nahin
Bach Ke Nikal Jaa Iss Basti Se
Karta Muhabbat Koi Nahin

Bibi Behan Maa Beti Naa Koi
Paise Kaa Sab Rishta Hai
Aankh Kaa Aansoo Khoon Jigar Kaa Mitti Se
Bhi Sasta Hai, Mitti Se Bhi Sasta Hai
Sab Kaa Teri Jeb Se Naata, Teri Jaroorat Koi Nahin
Bach Ke Nikal …

Shokh Gunahon Ki Yeh Mandi
Meetha Zehar Jawaani Hai
Kehte Hain Imaan Jise Kuchh Logon Ki Kahaani Hai
Kuchh Logon Ki Kahaani Hai
Bhookh Hai Majhab Iss Duniyaa Ka
Aur Haqeeqat Koi Nahin
Bach Ke Nikal …

Zindagi Kya Hai Cheej Yahan
Mat Pooch Aankh Bhar Aati Hai
Raat Mein Byaah Karti Woh Kali Bewaa
Subah Ho Jaati Hai, Bewaa Subah Ho Jati Hai
Aurat Ban Kar Iss Kooche Mein, Aurat Rahti Koi Nahin
Bach Ke Nikal …

Akele Akele Kahan Ja Rahe Ho

Film: An Evening In Paris
Jahr: 1966
Regie: Shakti Samanta
Schauspieler: Shammi Kapoor, Sharmila Tagore
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Hasrat Jaipuri

Lyrics: Akele Akele Kahan Ja Rahe Ho
Hamein Saath Lelo Jahan Ja Rahe Ho

Koi Mitt Raha Hai Tumhe Kuch Pata Hai
Tumhara Hua Hai Tumhe Kuch Pata Hai
Yeh Kya Majra Hai Tumhe Kuch Pata Hai
Akeke Akele Kahan Ja Rahe Ho …

Tadapta Na Chhodho Meri Jaan Ho Tum
Mera Dil Na Todho Meri Jaan Ho Tum
Yeh Mukhdha Na Modho Meri Jaan Ho Tum
Akele Akele Kahan Ja Rahe Ho …

Koi Rok Lega To Phir Kya Karoge
Kadam Tham Lega To Phir Kya Karoge
Khushamad Karega To Phir Kya Karoge
Akele Akle Kahan Ja Rahe Ho …

Mujhe Kitna Pyaar Hai

Film: Dil Tera Deewana
Jahr: 1962
Regie: B. Ramakrishnajah Panthulu
Schauspieler: Shammi Kapoor
Interpreten: Mohd. Rafi, Lata Mangeshkar
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Shailendra

(mujhe kitna Pyaar hai tumse, apne hee Dil se puchho tum
jisase Dil diya hai woh tum ho, meree jindagee tumharee hai) – 2 x

chahat ne teree mujhko kuchh iss tarah ghera
din ko hai tere charche rato ko khwab tera

tum ho jahan hai wahee par, rehta hai dil bhee mera
bas ek khayal tera kya, sham kya savera

mujhe kitna Pyaar hai tumse, apne hee dil se puchho tum
jisse Dil diya hai woh tum ho, meree jindagee tumharee hai

yeh Duniya kaise badalee kuchh bhee samajh na aaye
kyon kar huye woh apne kal tak the jo paraye

Dil kee lagan ho sacchee phir kyon na Rang laye
mere the tum sada se par abb kareeb aaye

mujhe kitna Pyaar hai tumse, apne hee dil se puchho tum
jisse Dil diya hai woh tum ho, meree jindagee tumharee hai

meree wafa ko abb toh tum aajmana chhodo
Dil ko churake mere Aankhe churana chhodo

mujh ko banane apna bate banana chhodo
mai kab na thee tumharee lekin satana chhodo

(mujhe kitna Pyaar hai tumse, apne hee Dil se puchho tum
jisse Dil diya hai woh tum ho, meree jindagee tumharee hai) – 2 x