Suhana Safar

Film: Madhumati
Jahr: 1958
Regie: Bimal Roy
Interpret: Mukesh
Komponist: Salil Chowdhury

Suhana safar aur yeh mausam haseen -2
Humein darr hai hum kho na jaaye kahin
Suhana safar..

Yeh kaun hansta hai phoolon mein chhupkar
Bahar bechain hai jiski dhun par -2
Kahin gungun, kahin runjhun
Ki jaise nache zameen
Suhana safar…

Yeh gori nadiyon ka chalna uchhalkar
Ki jaise allhad chale pi se milkar -2
Pyaare pyaare yeh nazare nisar hai har kahin
Suhana safar…

Ho ho ho …
Woh aasman jhuk raha hai zameen par
Yeh milan humne dekha yahin par -2
Meri duniya, mere sapne milenge shaayad yahin
Suhana safar…

Awaara Hoon, Ya Gardish Mein Hoon

Film: Awaara – The Vagabond – Der Vagabund von Bombay
Jahr: 1951
Regie: Raj Kapoor
Interpret: Mukesh
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Shailendra

Awaara Hoon ,Ya Gardish Mein Hoon
Aasman Ka Tara Hoon
Awaara Hoon …

Ghar Baar Nahin Sansar Nahin
Mujhse Kisi Ko Pyaar Nahin
Us Paar Kisise Milne Ka Iqraar Nahin
Mujhse Kisi Ko Pyaar Nahin
Anjaan Nagar Sunsan Dagar Ka Pyaara Hoon
Awaara Hoon …

Abaad Nahin Barbaad Sahi
Gata Hoon Khushi Ke Geet Magar
Zakhmon Se Bhara Seena Hai Mera
Hansti Hai Magar Yeh Mast Nazar
Duniya Maein Tere Teer Ka
Ya Taqdeer Ka Maara Hoon
Awaara Hoon …