Mera Joota Hai Japani

Film: Shree 420
Jahr: 1955
Regie: Raj Kapoor
Schauspieler: Raj Kapoor
Interpret: Mukesh
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Shailendra, Hasrat Jaipuri

Mera Joota Hai Japani Yeh Patloon Englishtani
Sar Pe Laal Topi Roosi Phir Bhi Dil Hai Hindustani
Mera Joota …

Nikal Pade Hai Khulli Sadak Par Apna Seena Taane
Manzil Kahan, Kahan Rukna Hai,Uparwala Jaane
Badte Jaayen Hum Sailani, Jaise Ek Dariya Toofani
Sar Pe Laal Topi Roosi Phir Bhi Dil Hai Hindustani
Mera Joota …

Upar-Neeche Neeche-Upar Leher Chale Jeevan Ki
Nadaan Hai Jo Baith Kinare, Pooche Raah Watan Ki
Chalna Jeevan Ki Kahaani, Rukna Maut Ki Nishaani
Sar Pe Laal Topi Roosi Phir Bhi Dil Hai Hindustani
Mera Joota …

Honge Raaje Rajkanwar Hum Bigde Dil Shehzade
Hum Singhasan Par Ja Baithen Jab Jab Karen Iraade
Surat Hai Jaani Pehchani Duniya Walon Ko Hairani
Sar Pe Laal Topi Roosi Phir Bhi Dil Hai Hindustani
Mera Joota …

Ramaiyya Wastawayya

Film: Shree 420
Jahr: 1955
Regie: Raj Kapoor
Schauspieler: Raj Kapoor, Nargis
Interpreten: Mohd. Rafi, Lata Mangeshkar, Mukesh
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Shailendra, Hasrat Jaipuri

ramayyaa wastaawayyaa, ramayyaa wastaawayyaa
maine dil tuz ko diyaa

naino mein thee pyaar kee roshanee
teree aankhon mein ye duniyaadaaree n thee
too aaur thaa, teraa dil aaur thaa
tere man mein ye meethhee kataaree n thee
mai jo dukh paaoo to kyaa
aaj pachhataaoo to kyaa
maine dil tuz ko diyaa

us des me, tere parades me
sone chandee ke badale mein bikate hain dil
is gaanw mein pyaar kee chhaanw me
pyaar ke naam par hee dhadakate hain dil
chand taaron ke tale raat ye gaatee chale
maine dil tuz ko diyaa

yaad aatee rahee, dil dukhaatee rahee
apane man ko manaanaa, naa aayaa hume
too naa aaye to kyaa, bhool jaaye to kyaa
pyaar kar ke bhoolaayaa naa aayaa hume
wahee se door se hee, too bhee ye kah de kabhee
maine dil tuz ko diyaa

Awaara Hoon, Ya Gardish Mein Hoon

Film: Awaara – The Vagabond – Der Vagabund von Bombay
Jahr: 1951
Regie: Raj Kapoor
Interpret: Mukesh
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Shailendra

Awaara Hoon ,Ya Gardish Mein Hoon
Aasman Ka Tara Hoon
Awaara Hoon …

Ghar Baar Nahin Sansar Nahin
Mujhse Kisi Ko Pyaar Nahin
Us Paar Kisise Milne Ka Iqraar Nahin
Mujhse Kisi Ko Pyaar Nahin
Anjaan Nagar Sunsan Dagar Ka Pyaara Hoon
Awaara Hoon …

Abaad Nahin Barbaad Sahi
Gata Hoon Khushi Ke Geet Magar
Zakhmon Se Bhara Seena Hai Mera
Hansti Hai Magar Yeh Mast Nazar
Duniya Maein Tere Teer Ka
Ya Taqdeer Ka Maara Hoon
Awaara Hoon …