Yeh Raaten, Yeh Mausam, Nadee Ka Kinara

Film: ((Dilli Ka Thug)) – Delhi Thug
Jahr: 1958
Regie: S.D. Narang
Interpreten: Asha Bhosle, Kishore Kumar
Komponist: Ravi
Lyrics: Shailendra

[youtube]AsoArEfUMN0[/youtube]
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa
Kaha do dilon ne, ke milkar kabhi hum na honge judaa
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

Yeh kya baat hai, aaj ki chandni mein
Yeh kya baat hai, aaj ki chandni mein
Ke hum kho gaye, pyaar ki raagani mein
Yeh bahon mein baahen, yeh behki nigahen
Lo aane laga zindagi ka maza
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

Sitaron ki mehfil ne karke ishara
Sitaron ki mehfil ne karke ishara
Kaha ab to sara jahaan hai tumhara
Mohabbat jawaan ho, khula aasman ho
Kare koi dil arzoo aur kya
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

Kasam hai tumhe, tum agar mujhse roothe
Kasam hai tumhe, tum agar mujhse roothe
Rahe saans jab tak ye bandhan na toote
Tumhe dil diya hai, ye wada kiya hai
Sanam main tumhari rahoongi sada
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa
Kaha do dilon ne, ke milkar kabhi hum na honge judaa
Yeh raaten, yeh mausam, nadee ka kinara, yeh chanchal hawa

Pag Ghungroo Bandh

Film: Namak Halal
Jahr: 1982
Regie: Prakash Mehra
Schauspieler: Amitabh Bachchan
Interpret: Kishore Kumar
Komponist: Bappi Lahiri
Lyrics: Anjaan

Buzurgon Ne, Buzurgon Ne, Farmaya Ki Pairon Pe Apne Khade Hoke Dikhlaao
Phir Yeh Zamaana Tumhaara Hai
Zamaane Ke Sur Taal Ke Saath Chalte Chale Jaao
Phir Har Taraana Tumhaara Fasaana Tumhaara Hai
Arey To Lo Bhaiya Hum
Apne Pairon Ke Oopar Khade Ho Gaye
Aur Milali Hai Taal
Dabaalega Daaton Tale Ungliyan,Liyan
Yeh Jahan Dekhkar, Dekhkar Apni Chaal
Wah Wah Wah Wah
Dhanvad

Ki Pag Ghungroo
Ki Pag Ghungroo Baandh Meera Naachi Thi – 2 X
Aur Hum naachen Bin Ghungroo Ke
Ki Pag Ghungroo Baandh Meera Naachi Thi
Woh Teer Bhalaa, Kis Kaam Ka Hai
Jo Teer Nishaaane Se Chooke Chooke Chooke Re!
Ki Pag Ghungroo

Aap Andar Se Kuch Aur
Bahar Se Kuch Aur Nazar Aate Hain
Bakhuda Shakal Se To Chor Nazar Aate Hain
Umar Guzari Hai Saari Chori Mein
Saare Sukh Chain Band Jurm Ki Tijori Mein

(Aap Ka To Lagta Hai Bas Yahi Sapna
Ram Naam Japna Paraya Maal Apna) – 2 X
Watan Ka Khaaya Namak To Namak Halaal Bano
Farz Imaan Ki Zinda Yahaan Misaal Bano
Paraya Dhan Parayi Naar Pe Nazar Mat Dalo
Buri Aadat Hai Yeh Aadat Abhi Badal Dalo
Kyonke Yeh Aadat To Woh Aag Hai Jo
Ik Din Apna Ghar Phoonke Phoonke Phoonke Re!
Ki Pag Ghungroo

Mausam-E-Ishq Mein Machale Huwe Armaan Hain Hum
Dil Ko Lagta Hai Ke Do Jism Ek Jaan Hai Hum
Aisa Lagta Hai To Lagne Mein Kuchh Buraayi Nahin
Dil Yeh Kehta Hai Aap Apni Hain Paraayi Nahin
Sange Marmar Ki Hai, Koi Moorat Ho Tum
Badhi Dilkash Badhi, Khubsoorat Ho Tum
Dil Dil Se Milne Ka Koi Mahoorat Ho Pyaase Dilon Ki Zaroorat Ho Tum
Dil Cheer Ke Dikhladoon Maein Dil Mein Yahin Soorat Haseen
Kya Aapko Lagta Nahin Hum Hain Mile Pehle Kahin
Kya Desh Hai Kya Jaat Hai
Kya Umra Hai Kya Naam Hai
Aji Chhodhiye In Baaton Se Humko Bhala Kya Kaam Hai
Aji Suniye To
Hum Aap Milen To Phir Ho Shuroo Afsaane Laila Majnoo Laila Majnu Ke
Ki Pag Ghungroo

Ye Dil Ki Lagi

Film: Mughal-E-Azam
Jahr: 1960
Regie: K. Asif
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Naushad
Lyrics: Shakeel Badayuni

Ye Dil Ki Lagi Kam Kya Hogi
Ye Ishq Bhala Kam Kya Hoga
Jab Raat Hai Aisi Matavaali – 2 x
Phir Subah Ka Aalam Kya Hoga – 2 x

Nagamo Se Barasati Hai Masti
Chhalake Hain Khushi Ke Paimaane – 2 x
Aaj Aisi Bahaaren Aai Hain
Kal Jinake Banenge Afasaane – 2 x
Ab Ise Jyaada Aur Haseen Ye Pyaar Ka Mausam Kya Hoga – 2 x
Jab Raat Hai Aisi Matavaali
Phir Subah Ka Aalam Kya Hoga – 2 x

Ye Aaj Ka Rang Aur Ye Mahafil
Dil Bhi Hai Yahaan Diladaar Bhi Hai – 2 x
Aankhon Mein Kayaamat Ke Jalave
Seene Mein Sulagata Pyaar Bhi Hai – 2 x
Is Rang Mein Koi Ji Le Agar Marane Ka Use Gam Kya Hoga – 2 x
Jab Raat Hai Aisi Matavaali
Phir Subah Ka Aalam Kya Hoga – 2 x

Haalat Hai Ajab Divaanon Ki
Ab Khair Nahi Paravaanon Ki – 2 x
Anjaam-e-mohabbat Kya Kahiye
Laya Badhane Lagi Aramaanon Ki – 2 x
Aise Mein Jo Paayal Toot Gayi Phir Ai Mere Hamadam Kya Hoga – 2 x
Jab Raat Hai Aisi Matavaali – 2 x
Phir Subah Ka Aalam Kya Hoga – 2 x