Aankhon Se Jo Utri

Film: ((Phir Wohi Dil Laya Hoon))
Jahr: 1963
Regie: Nasir Hussain
Schauspieler: Asha Parekh, Joy Mukherjee
Interpretin: Asha Bhosle
Komponist: O.P. Nayyar
Lyrics: Majrooh Sultanpuri

[youtube]_Rcve6FEQ5k[/youtube]
un hun hun, aa haa haa – 2 x
aankhon se jo utri hai dil mein – 2 x
taswir hai ek anjaane ki
khud DhoonDh rahi hai shamaa jise
kyaa baat hai us parvaane ki
aankhon se jo utri hai dil mein

vo uske labon par shokh hansi – 2 x
rangeen sharaarat aankhon mein
saanson mein mohabbat ki Khushboo
vo pyaar ki dhaDkan baaton mein
duniyaa meri.. badal gayee
banke ghaTaa nikal gayee
taubaa vo nazar mastaane ki
khud DhoonDh rahi hai shamaa jise
kyaa baat hai us parvaane ki
aankhon se jo utri hai dil mein

andaaz vo uske aane kaa – 2 x
chupke se bahaar aaye jaise
kahne ko ghadi bhar saath rahaa
par umar guzaar aaye jaise
unke binaa.. rahoongi nahin
kismat se ab jo kahin, mil jaaye Khabar deewane ki
khud DhoonDh rahi hai shamaa jise
kyaa baat hai us parvaane ki
aankhon se jo utri hai dil mein
taswir hai ek anjaane ki
khud DhoonDh rahi hai shamaa jise
kyaa baat hai us parvaane ki
aankhon se jo utri hai dil mein

Neeli Neeli Ghata O Bheegi Bheegi

Film: Hum Hindustani
Jahr: 1960
Regie: Ram Mukherji
Interpreten: Mukesh, Asha Bhosle
Komponist: Usha Khanna
Lyrics: K.M. Manohar

Asha Bhosle: Nili-nili ghata,
O bhigi-bhigi hava
Hai nasha hi nasha
Kahin kho jaaen aa

Mukesh: Nili-nili ghata

Asha Bhosle: Mausam deewana,
Kaheta zamaana
Saawan ki mauj men,
Do dil akele hain

Mukesh: Teri nigaahen,
Meri nigaahen
Dono sharaabi hai
Masti ke mele hain
Aa jhoomen zara
Nili-nili ghata

Mukesh: Palakon se chhal ke
Gaalon pe dhalake
Saavan ki bundon men
Chanchal ishaare hain

Asha Bhosle: Samajho ishaara
De do sahaara
Tum bhi hamaare ho
Ham bhi tumhaare hain
Aa jhoomen zara
Nili-nili ghata

Asha Bhosle: Laharon ka aanchal
Saahil pe dole
Barakha ki raani bhi
Zulfon ko khole hai

Mukesh: Laharon men kho jaa
Ojhal tu ho ja
Manzil ye apani hai
Dil mera bole hai
Aa jhoomen zara
Nili-nili ghata

Mukesh: Mausam ka jaadu
Aankhen beqaabu
Puchhe tum hi se yeh
Hoga aur aage kya

Asha Bhosle: Jannat yahi hai
Mujh ko yaqeen hai
Mere paas tu jo hai
Dil aur maange kya
Aa jhoomen zara

Both: Nili-nili ghata