Jiska Mujhe Tha Intezaar

Film: Don
Jahr: 1978
Regie: Chandra Barot
Schauspieler: Amitabh Bachchan, Helen
Interpret: Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
Komponist: Kalyanji-Anandji
Lyrics: Anjaan

Jis Ka Mujhe Tha Intezaar
Jis Ke Liye Dil Tha Beqaraar
Wo Ghadi Aa Gayi Aa Gayi
Aaj Pyaar Mein
Had Se Guzar Jaana Hai
Maar Dena Hai Tujh Ko
Ya Mar Jaana Hai

Jis Ka Mujhe Tha Intezaar
Jis Ke Liye Dil Tha Beqaraar
Wo Ghadi Aa Gayi Aa Gayi
Aaj Pyaar Mein
Had Se Guzar Jaana Hai
Maar Dena Hai Tujh Ko
Ya Mar Jaana Hai

Mujh Pe Jo Guzri Tu Kya Jaane
Tu Kya Samjhe
O Deewane
Le Ke Rahungi Badla Tujh Se
Aayi Hoon Dil Ki Aag Bujhaane

Ho Kaatil Meri Nazron Se
Bach Ke Kahan Jaayega
Kaatil Meri Nazron Se
Bach Ke Kahan Jaayega

Diya Hai Jo Mujh Ko
Wahi Tu Mujh Se Paayega
Wo Ghadi Aa Gayi Aa Gayi
Teer Ban Ke Jigar Mein
Utar Jaana Hai
Maar Dena Hai Tujh Ko
Ya Mar Jaana Hai

Jaadu Tera Kis Pe Chala
Hoga Kisi Din Ye Faisla
Wo Ghadi Aayegi Aayegi
Jaana Tune Abhi Ye
Kahan Jaana Hai
Kise Jeena Hai Aur
Kis Ko Mar Jaana Hai

Hoga Tera Aashiq Zamaana
Auron Ka Dil Hoga Tera Nishaana
Naaz Na Kar Yoon Teer E Nazar Pe
Aaye Hamein Bhi Teer Chalana

Jo Hain Khilaadi Unhe
Khel Hum Dikhaayenge
Apne Hi Jaal Mein
Shikaari Phas Jaayenge
Wo Ghadi Aayegi Aayegi

Waqt Aane Pe Tujh Ko
Ye Samjhana Hai
Kise Jeena Hai Aur
Kis Ko Mar Jaana Hai
Kise Jeena Hai Aur
Kis Ko Mar Jaana Hai