In Ankhon Ki Masti Ke

Film: Umrao Jaan
Jahr: 1981
Regie: Muzaffar Ali
Interpret: Asha Bhosle
Komponist: Khayyam
Lyrics: Shahryar

Asha Bhosle live im BBC Studio, Birmingham, England (1985)
In ankhon ki masti ke, aah aah aah aah
In ankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
Mastaane hazaaron hain
In ankhon se vaabasta
In ankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke
Ek tum hi nahin tanha, aah aah
Ek tum hi nahin tanha ulfat mein meri rusva
Ulfat mein meri rusva
Is shaher mein tum jaise
Is shaher mein tum jaise deewane hazaaron hain
Deewane hazaaron hain

In ankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke, aah aah aah
Ek sirf humi mai ko, ek sirf humi
Ek sirf humi mai ko ankhon se pilaate hain
Ankhon se pilaate hain
Kehne ko to duniya mein
Kehne ko to duniya mein maikhaane hazaaron hain
Maikhaane hazaaron hain

In ankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke
Is shamm-e-faroza ko, aah aah
Is shamm-e-faroza ko aandhi se darraate ho
Aandhi se darraate ho
Is shamm-e-faroza ke
Is shamm-e-faroza ke parvaane hazaaron hain
Parvaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In ankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke